Lata Mangeshkar Lyrics
"Jawani Aa Gayi Hai Ab Toh Aaja"

5.0 / 5
1 reviewers
Do you like this song?
(click stars to rate)
save!
my lyricsbox
(a a a a a o o o o
tere khyaal mein bachapan ki zindagi guzri
jawaani aaee to tujh ko pukaarti aaee)

kahaan hai tu mere sapano ke raaja (2)
jawaani aa gaee hai ab to aaja, ab to aaja
kahaan hai tu mere sapano ke raaja
Jawaani aa gaee hai ab to aaja, ab to aaja,,,,,,,..

qasam hai dil ke armaano ki tujh ko (2)
qasam bachpan ke afsaanon ki tujh ko
wohi rangeen afsaane suna ja
Jawaani aa gaee hai ab to aaja, ab to aaja,,,,,,,..

tujhe aawaaz dete hai sitaare (2)
bahare kar rahi hai kuchh ishaare, kuchh ishaare
ishaaron ka mujhe matalab bataaja
Jawaani aa gaee hai ab to aaja, ab to aaja,,,,,,,..

zabaan par dil ki baatein aa gaee hai(2)
baDi be-dard raatein aa gaee hai
meri raaton ko aa kar jagmaga ja
Jawaani aa gaee hai ab to aaja, ab to aaja,,,,,,,..

Posted By: Purnima