Lata Mangeshkar Lyrics
"Chali Aaj Gori Piya Ki Nagariya"

/ 5
0 reviewers
Do you like this song?
(click stars to rate)
save!
my lyricsbox
chali aaj gori piya ki nagariya - 2
mangiya mein sinduur odhe chunariya - 2
chali aaj gori piya ki nagariya...

dulaaron se paali ye komal kali si - 2
chhipi maan ke aanchal mein jaisi dari si
wo hi aaj jaaye paraayi nagariya.....

ankhiyon mein aansuu hain saanson mein aandhi - 2
sajan se milan ko sajaniya hai jaati
nainon se tham tham ke barase badariya... - 2

chali aaj gori piya ki nagariya