Nusrat Fateh Ali Khan Lyrics
"Kisi Roz Milo Hamein"

5.0 / 5
1 reviewers
Do you like this song?
(click stars to rate)
save!
my lyricsbox
kisi rooz milo, hum mein shaam dhalay!
sun to loo meri jaan
dharkanoon mein chuppa rakhay hain jo gilay!

tum ko dekhay huway beetay kitnay zamanay
abb banao gay tum aur kitnay bahanay
is aag mein sanam jalo tum bhi kabhi
kyun is mein jalain hum hi
tum nay hai seekha humain tarpana
is baichain dil ko satana

kisi rooz milo! hum mein shaam dhalay!

tanha kat ti nahin bheigi sawan ki ratein
raat bhar hum karain chand taroon say batain
kabhi aao tumhain qasam mausam ki
jalti huwi si rim jhim ki
jaan ko jalayay sama yeh suhana
yaad aata hai guzra zamana!

kisi rooz milo! hum mein shaam dhalay!

abb to puray karo woh mohabbat kay waday
kachay dhagay hi thay kya tumharay iraday
in rahoon mein wafa ki chalo tum bhi kabhi
kyun tanha chalain hum hi
tum ko hai aata wafain thukrana
hum to aata hai mar kay nibhana

kisi rooz milo! hum mein shaam dhalay!