Lata Mangeshkar Lyrics
"Muhabbat Mein Tadapane Se"

/ 5
0 reviewers
Do you like this song?
(click stars to rate)
save!
my lyricsbox
muhabbat mein tadapane se qaraar aata hai is dil ko
jo zaalim dil ko tadapaaye wahi bhaata hai is dil ko

kushi ki zindagi mein gam agar thoda sa shaamil ho
to sach maano ke jine ka maza aata hai is dil ko

bhulaana bhi agar chaaho to wo bhuula nahin jaata
koyi to baat hai aisi jo yaad aata hai is dil ko

akeli shamma kab jalati hai parawaana bhi jalata hai
wo kud bhi to tadapata hai jo tadapaata hai is dil ko