Lata Mangeshkar Lyrics
"Duniya Mein Nahin Koi Yaar"

4.4 / 5
17 reviewers
Do you like this song?
(click stars to rate)
save!
my lyricsbox
lata:
duniyaa mein-2
duniyaa mein nahin koi yaar wafaadaar
zamaana sach kehata hai-2
yahaan karnaa kisi se pyaar hai bekaar
zamaana sach kehata hai-2

rafi:
dukh-dard ka hai bazaar ye sansaar
zamaana sach kehata hai-2
milana hai yahaan dushwaar dil ko qaraar
zamaana sach kehata hai-2

lata:
kar gaye who bhi ham se kinaara
jin ko basaaya mann mein
pyaar ki baazi jeet saka hai
koi na is jeevan mein-2
hoti hai yahaan har bar dil ki haar
zamaana sach kehata hai-2

rafi:
kismat ne majboor banaakar
chheen liya sukh ham se
kaaya ki is qaid mein aa kar
koun bachaa hai gham se-2
chalate hai yahaan par vaar, gham ke hazaar
zamaana sach kehata hai-2

lata:
duniyaa mein nahin koi yaar wafaadaar
zamaana sach kehata hai-2

Posted by: p u r n i m a